Ab Ghar Per hi banane bahar jaisi chaatpuri chaat-puri kaise banaye|SAI FOODY KITCHEN|

Hi Friends,
Welcome to my channel Sai Foody Kitchen is video me hum aapko batane wale hai ki crispy chaat-puri ghar par kaise banaye wo
bhi bina suji-ghee ke.ab hum baat karte hai ki chaat-puri banane ke liye hum kya-kya samagri use
karenge.to aiye jaane...
Puri ka dough banane ke ingredients..
1.Maida-250g
2.Jeera-chutki bhar.
3.Namak-swaad anusar
chaat banane ke ingredients...
1.Boiled aloo-mesh kiye hue
2.Sweet dahi-1 cup
4.khajur-imali ki chatni -1 cup
5.dhaniye ki chatpati chatni -1/2 cup
6.sev -1 cup.
dough banane ke liye sabse pehle maida laenge usme jeera,namak daal kar kada aata gund lainge.uske baad madium size ke loe bana lenge aur roti ki tarah bel kar fela lenge uske baad kaate ki spoon ke trough chhote ched kar denge aur glass se cut karke round shape denge phir tel me medium flame pe fry karenge aur hamara crispy puri ready ho jaega.chaat banane ke liye puri ke upar mesh aloo ka figer dalenge phir
upar sweet dahi dalenge,uske baad khajur-imali ki chatni aur dhaniye ki chatni dalenge
uske baad sev dalenge upar se aur hamara tasty chaat-puri ready ho jaega..
agar aapko video pasand ayi hai to LIKE,SHARE,COMMENT KIJIYE AUR SUBSCRIBE KARE MERE CHANNEL KO AUR BELL ICON KO PRESS KARNA NA BHULE...THANKS FOR WATCHING....

About

HI Friends,
Humare Iss Channel main Hum Aap Tak Swadist Recipe Banana Ki Tarika Aap Tak Pahuchte Hai aur Koshish Karte Hai Kaise Jayada Kharch se kam Kharch main Achi Recipe Banaye..Wo App Tak Pahuchate Hai..

OUR OTHER VIDEO

https://youtu.be/yuFZJnjFG1k

https://youtu.be/KI2xQTl75dM

https://youtu.be/Z7aSMWbVBDk

https://youtu.be/Taq2I9_7QhI

EMAIL [email protected]
Share this Post:

Related Posts: